Rasoi ka Dawakhana
Haldi, adrak, ajwain, tulsi — ek-ek cheez ke baare me
Ye ilaaj nahi hai. Ye jaankari hai ki log kya karte aaye hain, aur uspar shodh kya kehti hai.
Bimaari ka nidaan aur ilaaj sirf doctor karte hain — India me software ko iski ijaazat hi nahi hai. Har nuskhe ke saath likha hai ki uspar research kya kehti hai, aur kis haalat me nuskha chhodkar seedha doctor ke paas jaana chahiye.
Adrak ka paani matli ke liye
Taaza adrak ubaal kar ghoont-ghoont piyein. Safar ki matli aur pet ki behchaini me ghar me sabse pehle yahi diya jaata hai. 5 saal se chhote bachchon ke liye nahi.
Methi dana bhiga hua paani
Raat bhar bhigoye methi dane ka paani subah khaali pet. Blood sugar ke liye ghar me sabse zyada aazmaya jaane wala nuskha. Sirf badon ke liye, aur sugar ki dawa ke saath doctor ko bataye bina nahi.
Kaccha lahsun khaali pet
Subah ek-do kaliyan kaccha lahsun paani ke saath. Cholesterol aur BP ke naam par ghar me bahut chalta hai. Sirf badon ke liye, aur BP ya cholesterol ki dawa ki jagah nahi.
Shahad khaansi ke liye
Raat ki khaansi me ek chammach shahad, seedha ya garam paani-nimbu ke saath. 1 saal se chhote bachche ko bilkul nahi. 3 hafte se zyada khaansi ho to doctor.
Tulsi ka kadha
Tulsi ke patte, adrak aur kali mirch ubaal kar banaya gaya kadha. Sardi-khaansi ke naam par ghar-ghar me piya jaata hai. 5 saal se chhote bachchon ke liye nahi.
Jeera paani
Raat bhar bhigoya ya ubaala hua jeera ka paani, subah khaali pet. Pachan aur pet phoolne ke liye ghar me sabse zyada piya jaane wala nuskha. 5 saal se chhote bachchon ke liye nahi.